(First Kiss)Real Fun,s Of My Life 1
Hum chai pee rahay thay or yunhi thora bohat batain kar rahay thay main nay Maham jaldi chai khatam karo mujhay tumhain kiss karna ha or phir koi aa na jay is bat ka b dar ha to Maham halka sa muskura di jesay he uski chai khatam huwi to main deewar k sath thora oper ho kar khara ho gaya or usay deewar k pas anay ka bola jis pay Maham b deewar k sath lag kar meray chehray k samnay ki taraf chehra kar k boli jaldi karo jo b karna ha mujhay dar lag raha ha or ankhain band kar k khari ho gayi main nay b aj say pehlay kabhi kisi k sath kiss nahi kia tha to thora dar lag raha tha lakin main nay himat ki or apnay aik hath ko Maham k kandhay pay rakha or or ahista say sirkatay huway Maham ki gardan main dal kar apnay honto ko jaldi say Maham k raseelay mulaim naram naram pink honto say chipka dia or kuch he second bad Maham nay jaldi say apna chehra pichay hata lia lakin mujhay abhi b aisa he lag raha tha jesay meray hont uskay honto say chipkay huway hain pehlay kiss ka ehsas he kuch alag hota ha tb mujhay thek say kiss kesay kia jata ha nahi pata tha isi liay honto say hont touch karnay ko he main nay bs kiss samjha hum log bina kuch bat kiay abi aik dosray ki ankhoo main daikh rahay thay k tb Maham boli k tum ab dobara kb awo gay mujh say milnay to main nay bola k abhi to is baray main kuch nahi janta lakin ab jaldi he zaroor awo ga phir kuch dair tk hum logo nay batain ki phir main bola k thek ha ab tum jawo nichay main bhi nichay jata ho mujhay subha jaldi jana ha is pay wo thora udas ho gayi or kehnay lagi ( Tusi chalay ooo Tusi na jawo na) ap ja rahay ho ap na jawo na jesay us nay bola tha main word to word wesay he likha ha us ki is bat pay mujhay aisa feel huwa k jesay wo kahin roo na day to main nay us say kaha ka nahi janay ko dil to nahi chah raha lakin jana to zaroori ha or phir wo hanndshake kar k nichay chali gayi or main bhi pichay chupay naveed k pas janay laga to daikha k waha naveed k elawa 2 or cousin b thay jo shayad main jb nichay gaya to waha aa kar chup gay thay or tb sb mujhay chiranay lagay k aj to tu nay shart jeet li etc or sb log nichay aa gay or hum so gay ......
To be Continue....